AARTI JAGDISH JI KI

RADHA KRISHAN
JAI RADHEY KRISHAN

Om jay jagdish hare, swami jay jagdish hare,

Bhakt janan ke sankat, kshan men dur kare, (Om jay....)

Jo dhyave phal pave, dukh vinshe man ka, (Swami dukh ....)

Sukh sampati ghar ave, kasht mite tan ka. (Om jay....)

Mat pita tum mere, sharan gahun kiski, (Swami Sharan....)

Tum bin aur na duja, aas karun mein jis ki. (Om jay....)

Tum puran paramatma, tum antaryami. (Swami tum....)

Par brahma parameshwar, tum sab ke swami (Om jay....)

Tum karuna ke sagar, tum palan karta, (Swami tum....)

Mein murakh khal kami, kripa karo bharta. (Om jay....)

Tum ho ek agochar, sab ke pran pati, (Swami sab....)

Kis vidhi milun dayamay, tum ko mein kumati. (Om jay....)

Din bandhu dukh harta, tum thakur mere, (Swami tum....)

Karuna hasta badhao, sharan pada mein tere. (Om jay....)

Vishay vikar mitao, pap haro deva, (Swami pap....)

Sharaddha bhakti badhao, santan ki seva. (Om jay....)

Tan, maan, dhan, sab kush hae tayra, (Swami sab....)

tayra tuj ko arpan, kea lagay mayra. (Om jay....)

Sham sunder ji ki arti jo koi nit gavey, (Swami jo....)

Kayht shivanand swami, man vanchhit phal pavey. (Om jay....)

Back Home